Thursday, 26 May 2016

Na fanaa hua mai , Na baqaa raha

Na fanaa hua mai , Na baqaa raha
Mere saath bhi ye kya , Silsila rahaa

Kabhi tasweer thi,  Kabhi bas aqs bhar
Jaane kis talaash me, Gumshudaa raha,

Mili roshni kai , mili Manjiley kai
Paake sab kuch bhi, Kuchh juda raha

Sunu mai apni ya, sunu apno ki
Isi kashmakah me kuchh , khwab sa rahaa...

No comments:

Post a Comment