Badlon ke ghoonghat me chaand hai chhupa...
Halki halki roshni si hai madhyama.
Khirkiyon se tum ko, hai hum roj dekhte
roop tera kagazon pe hai kuredte
naa hai chaht teri, naa teri hai talab
fir bhi dekhe hai tumhe, yuhin be-sabab
Badlon ke peechhe tu jaise hi gaya
Halki halki roshni si hai madhyama.
raat tujh se hai hansi, tu bikhri hr disha
mit gayi tujhi pe, ye berang si nisha
kisi ko dikh gaya, tu kisi ke roop me
wo jaane kya tu ojhal, jala kisi ki dhoop me
tujh se hi hansi hai , ye shab , ye sama
Halki halki roshni si hai madhyama.