Monday, 17 August 2015

Kyu itna mushkil hai

Kyu itna mushkil hai


Raasto ko dhoodna
Pahla kadam barhaana
Apni ichhao ko chunna
Kyu itna mushkil hai


Duaoo me mustaqbil rakhna
bebasi me aarzoo rakhna
arziyon me honsla rakhna
Kyu itna mushkil hai

Khud ko shashaqt dikhaana
Khud ko khud se milaana
Sapno ko haqiqat me dekhna
Kyu itna mushkil hai

Apne liye auro ka naa kahna
Dusro ke liye khud ko samjhaana
apni bhawnao ko rokna
Kyu itna mushkil hai

Dhimi si dharkano me saans lena
Waqt ka haath pakar saath chalna
khud pe auro se jyada vishwas karna
Kyu itna mushkil hai

Hamesha phulo sa muskurana
Panchhiyo sa be-fikr urna
Dhoop sa roj khilna
Kyu itna mushkil hai

Apno se larna
 Khwaabo ko jeena
Chahat ko paana
Kyu itna mushkil hai

Sunday, 16 August 2015

Dosti

Koi Maan Manuhaar nahi
  Koi sifaarish nahi hoti,

Jisme khone ko man kare
  Paane ki khwahish nahi hoti,

Bahot anmol hai wo rishta
  Jiskaa naam hai DOSTI,

Jisme maanga jaata hai haq se
  Koi guzaarish nahi hoti.

Kuchh bateyin Yaad aa jaati hai

Jab raat ke viraane me
tanhai sunayi deti hai,
Chupke se dil ke aangan me
kuchh baateyin yaad aa jati hai'

Ye waqt to hai tanhai ka
duniya ki alag perchhayi ka'
Is pal me hajaaro kisse
aankho ko najar aa jate hai

Ye rang bhi hai ek duniya ka
is pal me na koi banawat hai,
Na din ki taal na aawaze..
na shor na koi aahat hai

Na karlaw hai panchhi ka
na chiriyoo..n ke gaane
Bas mand pawan ki vaani me
ek meethi shital raahat hai

Dosto ki kuchh baatey
kuchh baatey apne man ki,
Kuchh yaad aa jaate hai
kisse apne bachpan ki

kuchh deti hansi hotho ko
kuchh aankhey nam kar jati hai
Is sannate me man,khud ko
man ki aawaj sunati hai

Jab raat ke viraane me
tanhai sunayi deti hai,
Chupke se dil ke aangan me
kuchh baateyin yaad aa jati hai'

Sunday, 2 August 2015

Mere Sapno ke Sitaare

Mit gaye hai, harf saare
Ab na dikhte hai kinaare
Moh ke haatho na tute
Mere sapno ke sitaare

Lafz bhi ab,goomshuda hai
Kya kare, kis se baya..
Haatho me kuchh bhi, na aaya
Tute khwabo.. ke siwa
Chhor ab shayad chuke hai
jo bhi the mere sahare

Moh ke haatho na tute
Mere sapno ke sitaare

Khushnuma the din, wo saare
Kya sunaheri raat thi
Be-namaazi the farishte
pr na kaafir zaat thi
Hum
bhatakte, ab musafir
Waqt ki raaho me haare

Moh ke haatho na tute
Mere sapno ke sitaare

Thi kabhi, ek jaan si
Rooh me, parwaaz karti
Khud se bhi apni,kbhi thi
Dillagi or Dosti
Tu bhi to aawaz de ab
le tu ab hum ko pukaare
Hum to jaise ho gaye hai
Paani pe bahte shikaare

Moh ke haatho na tute
Mere sapno ke sitaare

fir bhi ummido ka dipak
Hum ne aagan me jaalye
waqt or halaat ka toofa
dheema is ko kar na paye
koi kyu humdum bane
koi hum ko kyu swaare
Dhaage ummido ke uljhe
Girh-ha kholenge khud saare

Moh ke haatho na tute
Mere sapno ke sitaare