Thursday, 26 May 2016

Ye soch tilasmi

Ye soch tilasmi
hai kaisa
Bilkul khwabo ke
shaher jaisa
In chhoti chhoti
aankho me
Khwahiso ka hai
amber jaisa

Rishto ke kuchh
kachhe dhaage
Kuchh reyt bhi
muthhi me baandhe
In pyaar ki boondo
ki shaiy pr
Kya ban payega
ghar jaisa,

Kuchh khwab musalsal
rah jaaye
Dariya -e- waqt me
bah jaaye
Kyu soch hamesha
yu rakhna,
Sab hoga hansi
manjar jaisa...

No comments:

Post a Comment