Saturday, 2 January 2016

Teri Meri Dosti...

Tu waqt ki reyt per likha
Shaam ka Manjar sinduri lagta hai,
Tu har pahlu me
jivan me jaruri lagta hai,

Teri meri ; kuchh aisi hai dosti

Ek sukoon bhara alfaaz
Masoom sa chehra lagta hai,
Falaq ke samandar me ghula
Suraj sa rang ,gehra lagta hai,

Teri meri ; kuchh aisi hai dosti

Bin tumhare is hayaat ka
kuchh ajib sa tasavvur lagta hai
Bikhre hue nindo me tu
Har khwaab ka musavvir lagta hai

Teri meri ; kuchh aisi hai dosti

No comments:

Post a Comment