Sunday, 2 August 2015

Mere Sapno ke Sitaare

Mit gaye hai, harf saare
Ab na dikhte hai kinaare
Moh ke haatho na tute
Mere sapno ke sitaare

Lafz bhi ab,goomshuda hai
Kya kare, kis se baya..
Haatho me kuchh bhi, na aaya
Tute khwabo.. ke siwa
Chhor ab shayad chuke hai
jo bhi the mere sahare

Moh ke haatho na tute
Mere sapno ke sitaare

Khushnuma the din, wo saare
Kya sunaheri raat thi
Be-namaazi the farishte
pr na kaafir zaat thi
Hum
bhatakte, ab musafir
Waqt ki raaho me haare

Moh ke haatho na tute
Mere sapno ke sitaare

Thi kabhi, ek jaan si
Rooh me, parwaaz karti
Khud se bhi apni,kbhi thi
Dillagi or Dosti
Tu bhi to aawaz de ab
le tu ab hum ko pukaare
Hum to jaise ho gaye hai
Paani pe bahte shikaare

Moh ke haatho na tute
Mere sapno ke sitaare

fir bhi ummido ka dipak
Hum ne aagan me jaalye
waqt or halaat ka toofa
dheema is ko kar na paye
koi kyu humdum bane
koi hum ko kyu swaare
Dhaage ummido ke uljhe
Girh-ha kholenge khud saare

Moh ke haatho na tute
Mere sapno ke sitaare

2 comments: